Introduction
Aamir Khan, often referred to as the “Perfectionist” of Bollywood, is renowned for his exceptional acting skills and ability to immerse himself in diverse roles. Apart from his remarkable performances, Khan has delivered several dialogues that have left an indelible mark on the minds and hearts of the audience. Dialogues in movies play a crucial role in conveying emotions, establishing character traits, and leaving a lasting impact on viewers. In this article, we will explore some of the most memorable dialogues delivered by Aamir Khan throughout his illustrious career.

| Doodh agar sookh bhi jaye toh koi marta hai kya … lekin bade bhai ke khoon ke baad agar chote bhai ka khoon sookh jaye … toh yeh maut se bhi bhattar hai – Aatank Hi Aatank |
| Hindustani aadmi ka imaan koi paan supari nahi ki khaya aur thook diya … dushman ki gardan pakad leta hai yeh imaan … aur tab tak nahi chhodta jab tak ki dushman ke pran na nikal jaaye – Thugs Of Hindostan |
| Khwab aur hakikat mein jab bhi jung hoti hai … khwab haar jaata hai – Love Love Love |
| Shaitaan chahe mahal mein rahe yah jhopde mein … woh shaitaan hi kehlata hai – Daulat Ki Jung |
| Adhikar maange se nahi milta … usse cheenna padta hai – Daulat Ki Jung |
| Joh doosro ko tapkane ki himmat rakhte hai … un mein khud bhi tapakne ka kaleja rehta hai – Baazi |
| Daulat se kai zyada ooncha darja us insaan ka hota hai … jiske usool aur adarsh oonche ho … aur jinhe banaye rakhne ke khatir woh badi se badi qurbani de sakta hai – Afsana Pyar Ka |
| Haai is ada pe kaun na mar jaye khuda … ke ladte hai aur haath mein talwar bhi nahi – Isi Ka Naam Zindagi |
| Bhagwan se toh kayi baar aapko maang liya hai … bas ab aapse aapko maangna baaki hai – Jawani Zindabad |
| Aaj Pooja, kal koi dooja – Dil Chahta Hai |
| Sapne toh sabi dekhte hai … lekin sirf wohi sapna sakaar hota hai … joh lakh samjhane par bhi insaan bhulana nahi chahta – Luck By Chance |
| Har nayi cheez ke liye kismat ko aazmana bahut zaroori hota hai – Qayamat Se Qayamat Tak |
| Shabash mere cheeteh … shabash! – Andaz Apna Apna |
| Arre yeh theater hai ki koyle ki bhatti … aye fan chalu kar reh – Rangeela |
| In buson ka yahi chakkar hai … time par aati hai, time par jaati hai – Dil Hai Ke Manta Nahin |
| Is chaku se aaj tak kaddu, tinde aur tamatar katte aaye hain … lekin aaj, aaj main katunga – Dil |
| Apna toh seedha hisaab hai … pati toh pati, varna rakhi ready – Dil |
| Judai ka gham jitna hoga … milan ka mazaa utna hi zyada hoga – Afsana Pyar Ka |
| Ye mauka haath se mat jaane dena … jhappi maar ke pappi le lena – Jo Jeeta Wohi Sikandar |

| Oye Miss Universe-(sity) – Rang De Basanti |
| Lalach ki zameen par daulat ki fasal kabhi nahi ughti – Daulat Ki Jung |
| Insaan ko hamesha dhoke ki umeed rakhni chahiye … do hi cheezein pakki hai … dhoka aur maut … sabhi ko zindagi mein kam se kam ek baar toh naseeb hoti hi hai – Thugs Of Hindostan |
| Khamoshi mein joh baat kahi jaati hai … usse samajhne ke liye ek dard bhara dil chahiye – Deewana Mujh Sa Nahin |
| Pyar mohabbat ka rishta … kisi pabandi ka mohtaj nahi hota – Daulat Ki Jung |
| Tu jaanta nahi hai apun ko … yeh area mein apun world famous hai … world famous – Rangeela |
| Woh meri zindagi hai, meri aatma hai … woh meri hai bilkul ussi tarah jis tarah is seene mein dhadakta hua dil mera hai … is seene mein chalti hui saans meri hai … in ragon mein daudta hua khoon mera hai – Deewana Mujh Sa Nahin |
| Khoobsurati ki tareef toh dekhte hi ki jani chahiye … chahe woh koi ladki ho ya koi haseen phool – Afsana Pyar Ka |
| Dole dole mera bhi dil dole … isse pehle ki meri joote bole … tu patli gali hole – Baazi |
| Kehte hai gusse mein ladki ki khubsoorati aur badh jaati hai – Daulat Ki Jung |
| Main duniya ki har musibat ka saamna karne ke liye tayaar hoon … bas ek tumhara saath chahiye – Qayamat Se Qayamat Tak |
| Royega toh tu, jab khelenge hum hu tu tu … aur thukenge tere mooh par thu thu thu – Ishq |
| Mujhe achchi filmein bilkul pasand nahin – Dil Chahta Hai |
| Agar shatranj ki baazi jeetni ho … toh usse dus dimaag se nahi, ek dimaag se khelna chahiye – Baazi |
| Is hi doobte hue suraj ne hum mein pehli baar milaya tha … dekh lena, yahi doobta hua suraj hum mein ek din hamesha ke liye mila dega – Qayamat Se Qayamat Tak |
| Sheesha ho ya dil ho aakhir toot jaata hai … lab tak aate aate haathon se sagar choot jaata hai – Mela |
| Ladki thi jawaan, mamla tha sangeen … jana tha Japan, pahunch gayi Cheen – Dil |
| Dekhi zamane ki yaari … bichade sabhi bari bari – Mela |
| Main woh bala hoon, joh tum sabko kaccha chaba jaon … aur dhakaar bhi na loon – Andaz Apna Apna |
| Pyar ki keemat aatey daal ke taraazo mein rakhkar nahi toli jaati … sooli par chadkar aankhi jati hai – Dil |

| Tum jaise log dushman hote hain sari insaaniyat ke – Sarfarosh |
| Tum jaise talented bache hote hai na woh sode mein is bubbles ki tarah hote hai … ek ke baad ek woh aise hi upar aate hai … apne aap … unhe koi nahi rok sakta – Secret Superstar |
| Bachpan mein mujhe sikhaya gaya tha … kisi airi gairi cheez ki mooh nahi laga karte – Dil |
| Main kisi ke saath mazaak kar sakta hoon … lekin uski izzat ke saath nahi khel sakta – Dil |
| Perfection ko improve karna mushkil hota hai – Dil Chahta Hai |
| Earth ki toh lul hi baji hui hai – PK |
| Bade beabroo hoke unke kooche se hum nikle … humne toh ki wafaa pe wafaa pe wafaa non-stop … phir bhi woh bewafaa nikle – Mela |
| Hamaar pasina hamre tann mein khoon banke daudega – Lagaan |
| Hilna nahin, hilna nahin … nahin toh hila ke rakh doonga – Andaz Apna Apna |
| Yeh azaadi ki ladai hai … ghuzre hue kal se azaadi … aane waale kal ke liye – Mangal Pandey |
| Maine apna jeevan saathi chun liya hai … meri yaadien – Mann |
| Aap purush hi nahi … mahapurush hai! – Andaz Apna Apna |
| Chulhe se roti nikale ke liye, chimte ko apna mooh jalahe padi – Lagaan |
| Main apne mulk ko apna ghar samajhta hoon – Sarfarosh |
| Do dost ek pyale mein chai piyenge … isse dosti badti hai – Andaz Apna Apna |
| Sirf body banane se koi pehalwan nahi ban jaata … pehalwani joh hai na, woh khoon mein hoti hai – Dangal |
| Main yeh nahi janta ki yeh kahan likha hai … ki ek aurat mard se zyada pyar de sakti hai – Akele Hum Akele Tum |
| Ek baar gaya hoon moon pe … bahut hi lul place hai – PK |
| Kehne ko toh ek round sirf do minute ka hota hai … par socha jaave toh do minute mein 120 second hote hai … us ek second ka intezar kar jab samne wala galati kare – Dangal |
| Padhne likhne ke liye aksharon ki awaaz, unki banavat, shabdon ka matlab samajhna zaroori hai – Taare Zameen Par |

| Milte hi nazarein dil milaya nahi jaata … aagaaz ko anjaam banaya nahi jaata – Sarfarosh |
| Joh chuaka udhte hue jaaye … usse chakka kehte hai – Delhi Belly |
| Aaj mujhe pata laga hai ki main ek aise tangdil insaan ka beta hoon … jiske paas apne bete ko dene ke liye aashirwad bhi nahi – Dil |
| Medal laane ke liye support koi na deta … par medal na mile toh gaali sab dete hai – Dangal |
| Lul ho gayi humri life – PK |
| Jyot khud ba khud nahi jalti … jab tak usse koi jalane wala na ho – Mann |
| Bahar ek beraham competitive duniya basi hai … aur is duniya mein sabhi ko apne apne gharon mein toppers aur rankers ughaane hai – Taare Zameen Par |
| Doobte huye suraj ki kiranon mein … har khoobsurat cheez aur bhi khoobsurat lagne lagti hai – Qayamat Se Qayamat Tak |
| Patri se hatkar bahut kam log soch paate hai – Taare Zameen Par |
| Dost dost na raha, pyar pyar na raha … daru ke sivah zindagi mein koi karobar na raha – Mela |
| Apni ambitions ka wajan apne bachcho ke nazuk kandhon pe daalna … it’s worse than child labour – Taare Zameen Par |
| Gore pataloon pehen ke ee khel ka cricket kahat hai … aur hum langoti baandh ke gilli-danda – Lagaan |
| Ek pair past mein hai teh ek pair future mein hai … tabhi toh hum aaj pe moot rahe hain – Rang De Basanti |
| Dangal ladne se pehle dar se ladna padta hai – Dangal |
| Apni matti ki hamesha izzat karna … kyun ki jitni izzat tum matti ki karogi … utni hi izzat matti se tumhe milegi – Dangal |
| Hum bahut hi confusiya gaya hoon – PK |
| Uske gaal, uske baal arre kya kamaal … aur uski chaal karde halaal … uski kalai hai ram duhai, pure malai … aur uska badan phoolon ka chaman … aur uski aankhen sone ke button – Mela |
| Yeh aap idhar idhar kya dekh rahe hain … udhar idhar dekhiye, udhar idhar – Andaz Apna Apna |
| Aaise tukur tukur ka dekhat ho? – PK |
| Mujhe yakeen hai ki main sirf is liye janma hoon … ki tumse pyar kar sakun … tum sirf is liye, ki ek din meri ban jao – Dil Chahta Hai |

| Gyan toh gyan hota hai … chahe woh zabaani ho ya likhit – Taare Zameen Par |
| Dawa bhi kaam na aaye, koi dua na lage … mere khuda kisiko pyar ki hawa na lage – Sarfarosh |
| Aaj tak aapne hamari wafaadari dekhi thi … ab hamara krodh dekhiye – Mangal Pandey |
| Iyaan toh bolte kuch hai aur matbal kuch aur nikalta hai – PK |
| Yeh kaunsa tha jaam joh tune pila diya … is sirphere ka sara system hila diya – Ishq |
| Medalist pedh pe nahi ughte … unhe banana padta hai … pyar se, mehnat se, lagan se – Dangal |
| Har bachche ki apni khoobi hoti hai, apni kaabiliyat hoti hai, apni chahat hoti hai – Taare Zameen Par |
| Gold toh gold hota hai … chhora lave ya chhori – Dangal |
| Jab dil tootta hai toh uska asar seedha dimag par hota hai -Andaz Apna Apna |
| Kaun Hindu, kaun Musalman … thappa kidhar hai dikha … ye farak bhagwan nahi tum log banaya hai … aur yahi is gola ka sabse danger wrong number hai – PK |
| Duniya mein aaise aaise heere paida huye hai, jinhone sari duniya ka naksha hi badal diya … kyun ki yeh duniya ko apni alag nazar se dekh paaye – Taare Zameen Par |
| Vishvas aur ghamund mein bahut kum farak hai … main kar sakta hoon, yeh mera vishvas hai … sirf main hi kar sakta hoon, yeh mera ghamund – Ghajini |
| Shaadi byah mein pataka phodke band baja bajake … kahe poore shehar ko bataya jaata hai ki aaj I am having sex? – PK |
| Tujhko dekhenge sitare toh ziya mangenge, aur pyase teri zulfon se ghata mangenge … apne kaandhe se dupatta na sarakne dena, varna budhe bhi jawani ki dua mangenge – Mann |
| Mere pitaji ka kehna tha ki … kaam jazbaat ke saath karo … jazbaati hokar nahi- Ghajini |
| Shakal se to bidi ke kharkhane ka mazdoor lagta hai … saala choosa hua aam -Andaz Apna Apna |
| Abhe oh ujhdi hui riyasat ke lutte huye sultan – Ishq |
| Woh aake gire hum pe bijli ke khambe ki tarah … khuda ki kasam current kha ke mazaa aa gaya – Dil |
| College di gate de is taraf hum life ko nachate hai … te duji taraf life humko nachati hai – Rang De Basanti |
| Agar silver jeeti toh aaj nahi toh kal log tanne bhool javenge … gold jeeti toh misaal ban javegi … aur misaalein di jaati hai beta, bhooli nahi jaati – Dangal |
| Jaise deewar pe bhagwan ka photo lagate hai na, taaki kauno moote nahi … hum iyaan lagata hoon, taaki kauno peete nahi – PK |

| Bhagwan se baat kare ka communication system ye gola ka … total lul ho chuka hai – PK |
| Khayal karna bahut zaroori hai … is mein ilaaj ki shakti hai … ek marham hai jisse dard mitta hai – Taare Zameen Par |
| Meri puja mein, meri duaon mein, meri khamoshiyon mein, meri sadaaon mein … sirf tum ho, sirf tum – Mann |
| Apne bhagwan ki raksha karna band karo … nahi toh is gola mein insaan nahi sirf joota reh jayega – PK |
| Joh darr gaya so mandir gaya – PK |
| Tumhare bagair jeena kya … jeene ka khwab bhi nahin dekh sakta – Mann |
| Mera aaj mera kal, mere din mere pal … sirf tumhare dum se hai – Mann |
| Zindagi jeene ke do hi tarike hote hai … ek jo ho raha hai hone do, bardaasht karte jao … ya phir zimmedari uthao usse badalneki – Rang De Basanti |
| Kehdo uss bade baap ki beti se ke uske samaaj mein shaadi byah ek khel hoga, joh kagaz pe kiye hue dastakhat se bhi toda ja sakta hai … lekin hamare samaaj mein hum usse puja mante hai … agni ke saath pheron ke baad yeh bandhan atoot ho jata hai – Raja Hindustani |
| Bhabhi hogi teri aur shaadi hogi meri – Andaz Apna Apna |
| Tumhari khoobsurati ne khuda se khatta kara di … kahin khud se nazar na lag jaye … yunkar tumhe nazar na di – Fanaa |
| Adhoori saans thi, dhadkan adhoori thi, adhoore hum … magar ab chaand poora hai falak pe … aur ab poore hai hum – Fanaa |
| Behti hai hoton ko seekar, pachtayengi aap … ishq jaag uthta hai aksar, aaisi khamoshi ke baad – Fanaa |
| Kaun uthaya Raja Hindustani ko? – Raja Hindustani |
| Hoshyari, tarkieb aur dokha … teeno mil jaaye toh log usse jadoo samajhte hai-Dhoom 3 |
| Humra gola par log jhoot nahi bolta hai – PK |
| You come come memsaab! – Raja Hindustani |
| Kiss ho nahin paati yaar … kyun ki naak beech me aa jaati hai – 3 Idiots |
| Main toh aapko yeh padha raha tha ki, padhate kaise hai – 3 Idiots |
| Kaise sign karon yaar … meri pen toh tu le gayi – 3 Idiots |
| Na shehar dekho na biyabaan dekho … khuda ka eklauta naam-o-nishaan dekho … bas aankh uthao aur Rehan dekho – Fanaa |
| Kaash mein oon ka gola hota … aur unki ungliyon mein lipta hota – Fanaa |
| Ab bhi jiska khoon na khaula, khoon nahin voh paani hai … joh desh ke kaam na aaye woh bekaar jawani hai – Rang De Basanti |
| Tujhe is bazaar ka dastoor main samjha nahi sakta … bik gaya joh woh khareedar ho nahi sakta – Fanaa |
| Phool khilte hai, bahaaro ka samaa hota hai … aaise mausam mein hi toh pyar jawan hota hai … dil ki baaton ko hooton se nahi kehte … yeh fasaana toh nighahon se bayaan hota hai – Sarfarosh |
| Bas ek haan ke intezaar mein raat yunhi guzar jayegi … ab toh bas uljhan hai saath mere, neend kahan aayegi … subah ki kiran na jaane kaunsa sandesh layegi … rim jhim si gungunayegi ya pyas adhoori reh jayegi – Ghajini |
| Mohe toh wohi chori pasand aavegi, joh mori mai ko pasand aavegi – Lagaan |
| Agar andha hota, toh duniya ki sabse haseen cheez dekh nahi pata … aap – Fanaa |

| Life mein teen cheezon ke peeche khabi nahi bhagna chahiye … bus, train aur chokri … ek gayi doosri aati hai – Ishq |
| Dard se aankhen chaar kar lenge, hum bhi imtihaan de denge … teri dosti ke khatir aye dost, hum dushmano se bhi pyar kar lenge – Fanaa |
| Aap hai gul-e-gulzar, mausam-e-bahar … chehre par hai gussa, dil mein hai pyar … aa gale lag ja mere yaar – Ishq |
| Jab do barabar ke log ek doosre ko kuch dete hai toh woh tofha kehlata hai … lekin jab koi rayees kisi gareeb ko kuch deta hai toh wahi cheez bheek kehlati hai, madad kehlati hai – Raja Hindustani |
| Husn ko chaand, jawani ko kamal kehte hai … dekh kar hum tujhe ek shouk ghazal kehte hai … uff yeh sang-e-marmar sa tarasha hua shafaf badan … dekhne wale tujhe Taj Mahal kehte hai – Mann |
| Exam toh bahut hote hai, baap mostly ek hi hota hai – 3 Idiots |
| Aal izz well … Aal izz well – 3 Idiots |
| Aisa laga khuda ne rakh diya hamare dil pe haath … liya naam hamare unhone kuch aisi ada ke saath – Fanaa |
| Maskarre ka khel dhokhe ka khel hota hai … jis mein audience ko lagta hai ki jeet unki ho rahi hai … lekin jeette hum hai, hamesha – Dhoom 3 |
| Pani se pyaas nah bhuji toh maikhane ki taraf chal nikla … soocha shikayat karoon teri khuda se … par khuda bhi tera aashiq nikla – Fanaa |
| Life is a race … if you don’t run fast … you will be like a broken undaa – 3 Idiots |
| Aag suraj mein hoti hai, jalna zameen ko padta hai … mohabbat nigahein karti hai, tadapna dil ko padta hai – Fanaa |
| Saanson ke bina shayad kuch pal main jee sakta hoon … lekin tumhare bina nahin – Mann |
| Bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte … jaam doosron se cheenkar hum piya nahi karte … unko mohabbat hai toh aakar izhaar karen … peecha hum bhi kisika kiya nahi karte – Fanaa |
| Phool hoon gulaab ka chameli ka mat samajhna … aashiq hoon aapka apni saheli ka mat samajhna – Fanaa |
| Aap ki aankhen meri taxi ki headlight ki tarah hai memsaab – Raja Hindustani |
| Kehte hai pyar mein neend udh jaati hai … koi humse bhi mohabbat kare … kambhakt neend bahut aati hai – Fanaa |
| Bande hain hum uske, hum pe kiska zor … umeedo ke suraj, nikle chaaron aurr … iraade hai fauladi, himmati har kadam … apne haatho kismat likhne, aaj chale hain hum – Dhoom 3 |
| Humse door jaoge kaise, dil se hum mein bhulaoge kaise … hum woh khushboo hai joh saason mein bastein hai, khud ki saason ko rok paoge kaise – Fanaa |

