Aamir Khan, often referred to as the “Perfectionist” of Bollywood, is renowned for his exceptional acting skills and ability to immerse himself in diverse roles. Apart from his remarkable performances, Khan has delivered several dialogues that have left an indelible mark on the minds and hearts of the audience. Dialogues in movies play a crucial role in conveying emotions, establishing character traits, and leaving a lasting impact on viewers. In this article, we will explore some of the most memorable dialogues delivered by Aamir Khan throughout his illustrious career.
Doodh agar sookh bhi jaye toh koi marta hai kya … lekin bade bhai ke khoon ke baad agar chote bhai ka khoon sookh jaye … toh yeh maut se bhi bhattar hai – Aatank Hi Aatank
Hindustani aadmi ka imaan koi paan supari nahi ki khaya aur thook diya … dushman ki gardan pakad leta hai yeh imaan … aur tab tak nahi chhodta jab tak ki dushman ke pran na nikal jaaye – Thugs Of Hindostan
Khwab aur hakikat mein jab bhi jung hoti hai … khwab haar jaata hai – Love Love Love
Shaitaan chahe mahal mein rahe yah jhopde mein … woh shaitaan hi kehlata hai – Daulat Ki Jung
Adhikar maange se nahi milta … usse cheenna padta hai – Daulat Ki Jung
Joh doosro ko tapkane ki himmat rakhte hai … un mein khud bhi tapakne ka kaleja rehta hai – Baazi
Daulat se kai zyada ooncha darja us insaan ka hota hai … jiske usool aur adarsh oonche ho … aur jinhe banaye rakhne ke khatir woh badi se badi qurbani de sakta hai – Afsana Pyar Ka
Haai is ada pe kaun na mar jaye khuda … ke ladte hai aur haath mein talwar bhi nahi – Isi Ka Naam Zindagi
Bhagwan se toh kayi baar aapko maang liya hai … bas ab aapse aapko maangna baaki hai – Jawani Zindabad
Aaj Pooja, kal koi dooja – Dil Chahta Hai
Sapne toh sabi dekhte hai … lekin sirf wohi sapna sakaar hota hai … joh lakh samjhane par bhi insaan bhulana nahi chahta – Luck By Chance
Har nayi cheez ke liye kismat ko aazmana bahut zaroori hota hai – Qayamat Se Qayamat Tak
Shabash mere cheeteh … shabash! – Andaz Apna Apna
Arre yeh theater hai ki koyle ki bhatti … aye fan chalu kar reh – Rangeela
In buson ka yahi chakkar hai … time par aati hai, time par jaati hai – Dil Hai Ke Manta Nahin
Is chaku se aaj tak kaddu, tinde aur tamatar katte aaye hain … lekin aaj, aaj main katunga – Dil
Apna toh seedha hisaab hai … pati toh pati, varna rakhi ready – Dil
Judai ka gham jitna hoga … milan ka mazaa utna hi zyada hoga – Afsana Pyar Ka
Ye mauka haath se mat jaane dena … jhappi maar ke pappi le lena – Jo Jeeta Wohi Sikandar
Oye Miss Universe-(sity) – Rang De Basanti
Lalach ki zameen par daulat ki fasal kabhi nahi ughti – Daulat Ki Jung
Insaan ko hamesha dhoke ki umeed rakhni chahiye … do hi cheezein pakki hai … dhoka aur maut … sabhi ko zindagi mein kam se kam ek baar toh naseeb hoti hi hai – Thugs Of Hindostan
Khamoshi mein joh baat kahi jaati hai … usse samajhne ke liye ek dard bhara dil chahiye – Deewana Mujh Sa Nahin
Pyar mohabbat ka rishta … kisi pabandi ka mohtaj nahi hota – Daulat Ki Jung
Tu jaanta nahi hai apun ko … yeh area mein apun world famous hai … world famous – Rangeela
Woh meri zindagi hai, meri aatma hai … woh meri hai bilkul ussi tarah jis tarah is seene mein dhadakta hua dil mera hai … is seene mein chalti hui saans meri hai … in ragon mein daudta hua khoon mera hai – Deewana Mujh Sa Nahin
Khoobsurati ki tareef toh dekhte hi ki jani chahiye … chahe woh koi ladki ho ya koi haseen phool – Afsana Pyar Ka
Dole dole mera bhi dil dole … isse pehle ki meri joote bole … tu patli gali hole – Baazi
Kehte hai gusse mein ladki ki khubsoorati aur badh jaati hai – Daulat Ki Jung
Main duniya ki har musibat ka saamna karne ke liye tayaar hoon … bas ek tumhara saath chahiye – Qayamat Se Qayamat Tak
Royega toh tu, jab khelenge hum hu tu tu … aur thukenge tere mooh par thu thu thu – Ishq
Mujhe achchi filmein bilkul pasand nahin – Dil Chahta Hai
Agar shatranj ki baazi jeetni ho … toh usse dus dimaag se nahi, ek dimaag se khelna chahiye – Baazi
Is hi doobte hue suraj ne hum mein pehli baar milaya tha … dekh lena, yahi doobta hua suraj hum mein ek din hamesha ke liye mila dega – Qayamat Se Qayamat Tak
Sheesha ho ya dil ho aakhir toot jaata hai … lab tak aate aate haathon se sagar choot jaata hai – Mela
Ladki thi jawaan, mamla tha sangeen … jana tha Japan, pahunch gayi Cheen – Dil
Dekhi zamane ki yaari … bichade sabhi bari bari – Mela
Main woh bala hoon, joh tum sabko kaccha chaba jaon … aur dhakaar bhi na loon – Andaz Apna Apna
Pyar ki keemat aatey daal ke taraazo mein rakhkar nahi toli jaati … sooli par chadkar aankhi jati hai – Dil
Tum jaise log dushman hote hain sari insaaniyat ke – Sarfarosh
Tum jaise talented bache hote hai na woh sode mein is bubbles ki tarah hote hai … ek ke baad ek woh aise hi upar aate hai … apne aap … unhe koi nahi rok sakta – Secret Superstar
Bachpan mein mujhe sikhaya gaya tha … kisi airi gairi cheez ki mooh nahi laga karte – Dil
Main kisi ke saath mazaak kar sakta hoon … lekin uski izzat ke saath nahi khel sakta – Dil
Perfection ko improve karna mushkil hota hai – Dil Chahta Hai
Earth ki toh lul hi baji hui hai – PK
Bade beabroo hoke unke kooche se hum nikle … humne toh ki wafaa pe wafaa pe wafaa non-stop … phir bhi woh bewafaa nikle – Mela
Yeh azaadi ki ladai hai … ghuzre hue kal se azaadi … aane waale kal ke liye – Mangal Pandey
Maine apna jeevan saathi chun liya hai … meri yaadien – Mann
Aap purush hi nahi … mahapurush hai! – Andaz Apna Apna
Chulhe se roti nikale ke liye, chimte ko apna mooh jalahe padi – Lagaan
Main apne mulk ko apna ghar samajhta hoon – Sarfarosh
Do dost ek pyale mein chai piyenge … isse dosti badti hai – Andaz Apna Apna
Sirf body banane se koi pehalwan nahi ban jaata … pehalwani joh hai na, woh khoon mein hoti hai – Dangal
Main yeh nahi janta ki yeh kahan likha hai … ki ek aurat mard se zyada pyar de sakti hai – Akele Hum Akele Tum
Ek baar gaya hoon moon pe … bahut hi lul place hai – PK
Kehne ko toh ek round sirf do minute ka hota hai … par socha jaave toh do minute mein 120 second hote hai … us ek second ka intezar kar jab samne wala galati kare – Dangal
Padhne likhne ke liye aksharon ki awaaz, unki banavat, shabdon ka matlab samajhna zaroori hai – Taare Zameen Par
Milte hi nazarein dil milaya nahi jaata … aagaaz ko anjaam banaya nahi jaata – Sarfarosh
Mujhe yakeen hai ki main sirf is liye janma hoon … ki tumse pyar kar sakun … tum sirf is liye, ki ek din meri ban jao – Dil Chahta Hai
Gyan toh gyan hota hai … chahe woh zabaani ho ya likhit – Taare Zameen Par
Dawa bhi kaam na aaye, koi dua na lage … mere khuda kisiko pyar ki hawa na lage – Sarfarosh
Aaj tak aapne hamari wafaadari dekhi thi … ab hamara krodh dekhiye – Mangal Pandey
Iyaan toh bolte kuch hai aur matbal kuch aur nikalta hai – PK
Yeh kaunsa tha jaam joh tune pila diya … is sirphere ka sara system hila diya – Ishq
Medalist pedh pe nahi ughte … unhe banana padta hai … pyar se, mehnat se, lagan se – Dangal
Har bachche ki apni khoobi hoti hai, apni kaabiliyat hoti hai, apni chahat hoti hai – Taare Zameen Par
Gold toh gold hota hai … chhora lave ya chhori – Dangal
Jab dil tootta hai toh uska asar seedha dimag par hota hai -Andaz Apna Apna
Kaun Hindu, kaun Musalman … thappa kidhar hai dikha … ye farak bhagwan nahi tum log banaya hai … aur yahi is gola ka sabse danger wrong number hai – PK
Duniya mein aaise aaise heere paida huye hai, jinhone sari duniya ka naksha hi badal diya … kyun ki yeh duniya ko apni alag nazar se dekh paaye – Taare Zameen Par
Vishvas aur ghamund mein bahut kum farak hai … main kar sakta hoon, yeh mera vishvas hai … sirf main hi kar sakta hoon, yeh mera ghamund – Ghajini
Shaadi byah mein pataka phodke band baja bajake … kahe poore shehar ko bataya jaata hai ki aaj I am having sex? – PK
Tujhko dekhenge sitare toh ziya mangenge, aur pyase teri zulfon se ghata mangenge … apne kaandhe se dupatta na sarakne dena, varna budhe bhi jawani ki dua mangenge – Mann
Mere pitaji ka kehna tha ki … kaam jazbaat ke saath karo … jazbaati hokar nahi- Ghajini
Shakal se to bidi ke kharkhane ka mazdoor lagta hai … saala choosa hua aam -Andaz Apna Apna
Abhe oh ujhdi hui riyasat ke lutte huye sultan – Ishq
Woh aake gire hum pe bijli ke khambe ki tarah … khuda ki kasam current kha ke mazaa aa gaya – Dil
College di gate de is taraf hum life ko nachate hai … te duji taraf life humko nachati hai – Rang De Basanti
Agar silver jeeti toh aaj nahi toh kal log tanne bhool javenge … gold jeeti toh misaal ban javegi … aur misaalein di jaati hai beta, bhooli nahi jaati – Dangal
Jaise deewar pe bhagwan ka photo lagate hai na, taaki kauno moote nahi … hum iyaan lagata hoon, taaki kauno peete nahi – PK
Bhagwan se baat kare ka communication system ye gola ka … total lul ho chuka hai – PK
Khayal karna bahut zaroori hai … is mein ilaaj ki shakti hai … ek marham hai jisse dard mitta hai – Taare Zameen Par
Meri puja mein, meri duaon mein, meri khamoshiyon mein, meri sadaaon mein … sirf tum ho, sirf tum – Mann
Apne bhagwan ki raksha karna band karo … nahi toh is gola mein insaan nahi sirf joota reh jayega – PK
Joh darr gaya so mandir gaya – PK
Tumhare bagair jeena kya … jeene ka khwab bhi nahin dekh sakta – Mann
Mera aaj mera kal, mere din mere pal … sirf tumhare dum se hai – Mann
Zindagi jeene ke do hi tarike hote hai … ek jo ho raha hai hone do, bardaasht karte jao … ya phir zimmedari uthao usse badalneki – Rang De Basanti
Kehdo uss bade baap ki beti se ke uske samaaj mein shaadi byah ek khel hoga, joh kagaz pe kiye hue dastakhat se bhi toda ja sakta hai … lekin hamare samaaj mein hum usse puja mante hai … agni ke saath pheron ke baad yeh bandhan atoot ho jata hai – Raja Hindustani
Bhabhi hogi teri aur shaadi hogi meri – Andaz Apna Apna
Tumhari khoobsurati ne khuda se khatta kara di … kahin khud se nazar na lag jaye … yunkar tumhe nazar na di – Fanaa
Adhoori saans thi, dhadkan adhoori thi, adhoore hum … magar ab chaand poora hai falak pe … aur ab poore hai hum – Fanaa
Behti hai hoton ko seekar, pachtayengi aap … ishq jaag uthta hai aksar, aaisi khamoshi ke baad – Fanaa
Kiss ho nahin paati yaar … kyun ki naak beech me aa jaati hai – 3 Idiots
Main toh aapko yeh padha raha tha ki, padhate kaise hai – 3 Idiots
Kaise sign karon yaar … meri pen toh tu le gayi – 3 Idiots
Na shehar dekho na biyabaan dekho … khuda ka eklauta naam-o-nishaan dekho … bas aankh uthao aur Rehan dekho – Fanaa
Kaash mein oon ka gola hota … aur unki ungliyon mein lipta hota – Fanaa
Ab bhi jiska khoon na khaula, khoon nahin voh paani hai … joh desh ke kaam na aaye woh bekaar jawani hai – Rang De Basanti
Tujhe is bazaar ka dastoor main samjha nahi sakta … bik gaya joh woh khareedar ho nahi sakta – Fanaa
Phool khilte hai, bahaaro ka samaa hota hai … aaise mausam mein hi toh pyar jawan hota hai … dil ki baaton ko hooton se nahi kehte … yeh fasaana toh nighahon se bayaan hota hai – Sarfarosh
Bas ek haan ke intezaar mein raat yunhi guzar jayegi … ab toh bas uljhan hai saath mere, neend kahan aayegi … subah ki kiran na jaane kaunsa sandesh layegi … rim jhim si gungunayegi ya pyas adhoori reh jayegi – Ghajini
Mohe toh wohi chori pasand aavegi, joh mori mai ko pasand aavegi – Lagaan
Agar andha hota, toh duniya ki sabse haseen cheez dekh nahi pata … aap – Fanaa
Life mein teen cheezon ke peeche khabi nahi bhagna chahiye … bus, train aur chokri … ek gayi doosri aati hai – Ishq
Dard se aankhen chaar kar lenge, hum bhi imtihaan de denge … teri dosti ke khatir aye dost, hum dushmano se bhi pyar kar lenge – Fanaa
Aap hai gul-e-gulzar, mausam-e-bahar … chehre par hai gussa, dil mein hai pyar … aa gale lag ja mere yaar – Ishq
Jab do barabar ke log ek doosre ko kuch dete hai toh woh tofha kehlata hai … lekin jab koi rayees kisi gareeb ko kuch deta hai toh wahi cheez bheek kehlati hai, madad kehlati hai – Raja Hindustani
Husn ko chaand, jawani ko kamal kehte hai … dekh kar hum tujhe ek shouk ghazal kehte hai … uff yeh sang-e-marmar sa tarasha hua shafaf badan … dekhne wale tujhe Taj Mahal kehte hai – Mann
Exam toh bahut hote hai, baap mostly ek hi hota hai – 3 Idiots
Aal izz well … Aal izz well – 3 Idiots
Aisa laga khuda ne rakh diya hamare dil pe haath … liya naam hamare unhone kuch aisi ada ke saath – Fanaa
Maskarre ka khel dhokhe ka khel hota hai … jis mein audience ko lagta hai ki jeet unki ho rahi hai … lekin jeette hum hai, hamesha – Dhoom 3
Pani se pyaas nah bhuji toh maikhane ki taraf chal nikla … soocha shikayat karoon teri khuda se … par khuda bhi tera aashiq nikla – Fanaa
Life is a race … if you don’t run fast … you will be like a broken undaa – 3 Idiots
Aag suraj mein hoti hai, jalna zameen ko padta hai … mohabbat nigahein karti hai, tadapna dil ko padta hai – Fanaa
Saanson ke bina shayad kuch pal main jee sakta hoon … lekin tumhare bina nahin – Mann
Bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte … jaam doosron se cheenkar hum piya nahi karte … unko mohabbat hai toh aakar izhaar karen … peecha hum bhi kisika kiya nahi karte – Fanaa
Phool hoon gulaab ka chameli ka mat samajhna … aashiq hoon aapka apni saheli ka mat samajhna – Fanaa
Aap ki aankhen meri taxi ki headlight ki tarah hai memsaab – Raja Hindustani
Kehte hai pyar mein neend udh jaati hai … koi humse bhi mohabbat kare … kambhakt neend bahut aati hai – Fanaa
Bande hain hum uske, hum pe kiska zor … umeedo ke suraj, nikle chaaron aurr … iraade hai fauladi, himmati har kadam … apne haatho kismat likhne, aaj chale hain hum – Dhoom 3
Humse door jaoge kaise, dil se hum mein bhulaoge kaise … hum woh khushboo hai joh saason mein bastein hai, khud ki saason ko rok paoge kaise – Fanaa